Kanz e Aza

Abhi Khanjar Na Chala

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Sachey Bhai. Lyrics in Roman Urdu.

jab giray ghode se maqtal mein shahe karbobala

khanjare zulm liye shimre sitamgaar badha

di tadap kar dar e qaime se ye zainab ne sada

abhi khanjar na chala abhi khanjar na chala

zaalim abhi khajar na chala


loot mat behre khuda fatema zehra ka chayn

aur kuch dayr teher ja arey zaalim ke hussain

bakshishe ummate jad ki abhi karte hai dua

abhi khanjar na chala...


teen din hogaye pyasa hai nabi ka jaani

zibha karna hai to do ghoont pilade pani

kund khanjar hai mere bhai ka sookha hai gala

abhi khanjar na chala...


bosagaahe nabawi hai ye gala ay zaalim

sheh ragay deen pe khanjar na chala ay zaalim

choomte thay isi halqoom ko mahboob e khuda

abhi khanjar na chala...


chod kar khuld zara faatahe khyber aa le

aur kuch dayr teher ja ke payambar aa le

aati hi hogi wo aa lene de amma ko zara

abhi khanjar na chala...


kya karoo ja'un kahan kis ko pukarun bhai

kaise dekhegi tumhe todte dam majaayi

ya ilaahi mujhe shabbir se pehle le utha

abhi khanjar na chala...


haye kis dil se karoo tazkira e jor o jafa

kat gaya saamne zainab ke shahe deen ka gala

cheekhti reh gayi zainab sare maqtal ba khuda

abhi khanjar na chala...