Kanz e Aza

Ajeeb Zid Hai

A noha written by Sachey Bhai. Lyrics in Roman Urdu.

ajeeb zid hai ke islam aal se mat lo


har ek baat suno har kisi se fatwa lo

kahe jo aale mohamed usay kabhi na suno

ek shehre ilm ka dar hai udhar ka rukh na karo

suni sunayi hui baat par yaqeen karlo

ajeeb zid hai ke...


zaban pe lao na hargiz nabi ki aal ka naam

jhukao ghair ke dar par jabeen ko subho shaam

ye ahlebait hai bas laaeq e darood o salaam

inhe to door se hi bas salaam karte raho

ajeeb zid hai ke...


badhayi jis se ibaarat hai ye wo aazam hai

usool e deen hai ibne rasool e khaatam hai

imam e jafar e sadiq imam e aalam hai

khuda ke waaste kuch to samajh ki baat karo

ajeeb zid hai ke...


ghatao martaba aale mustafa din raat

usool e kasrat e aara se unko dedo maat

ye inteha e adawat hai ke har ek wo baat

jawan ke haq mein kahi jaaye usko kufr kaho

ajeeb zid hai ke...


khuda ke waaste is zid se baaz aajao

jahan mein dushmane aale nabi na kehlao

gala kata chuke shabbir kuch taras khao

nabi ki aal pe ab to sitam rawan na rakho

ajeeb zid hai ke...


ye ahlebait hai haasil inhe ye azmat hai

ke lab pe naam bhi aajaye to ibadat hai

sune wo deen e mohamed se jinko nisbat hai

hai char chand lage in se deen e ahmed ko

ajeeb zid hai ke...


har ek bashar ko ye haasil kahan sa'adat hai

jali huroof se quran mein ibaarat hai

ke sirf aale ibrahim mein imamat hai

wahan bhi shart rakhi hai na zalimeen mein ho

ajeeb zid hai ke...


hai aal rooh aur islam us ka qalib hai

qadam qadam pe wo inki riza ka taalib hai

hai kaun jis pe durood o salaam wajib hai

hai haq parasti ka daawa to haq ki baat kaho

ajeeb zid hai ke...


zaban se kehte ho dil se yaqeen gar ho jaye

kham ahlebait ki chaukat pe tera sar ho jaye

mai karbala kahun aur teri chashm nam ho jaye

azeez jaan se zyada hussain ka gham ho

ajeeb zid hai ke...


hussain jaan dil e mustafa pe jaan nisaar

nazar mein taab kahan hai jo dekhe haalat e zaar

tan e hazeen pe hai itne sina o teer ke waar

shumaar karne pe aaye magar shumaar na ho

ajeeb zid hai ke...


pisar ki laassh pe baithe thay sayyed e waala

ke ek mard khush atwar saamne aaya

salaam kar ke kaha mai hoon qaside sughra

tadap raahi hai bulaya hai us ne akbar ko

ajeeb zid hai ke...


suna jo fatema sughra ka naam sarwar ne

kaleje thaam liya fatema ke dilbar ne

tadap ke khaak pe karwat li laashe akbar ne

larazte haathon se thaama hussain ne khat ko

ajeeb zid hai ke...


likha tha khat mein hazaron salaam akbar ko

duayein bali sakina ko pyar asghar ko

chacha ko likha tha aadaab aur sarwar ko

likha tha baba gaye bhool aap bhi mujhko

ajeeb zid hai ke...


mai raat din yahan bhai ki raah dekhti thi

aur aap ne wahan shadi racha di kubra ki

kisi ko aayi na aise mein yaad sughra ki

bigad gaya hai muqaddar kahun mai kya isko

ajeeb zid hai ke...


chacha ke paas sakina hai mai hoon kaun bhala

phupi ko bhi nahi aaya khayal kuch mera

samajhti hongi ye amma ke mar gayi sughra

kisi ka bhi na jahan mein aisa naseeb ho

ajeeb zid hai ke...


ye pad ke aah jo ki sheh ne aasman larza

hila ke shaana e akbar kaha ke ay beta

bulaya hai tumhe sughra ne doon jawab mein kya

madine jaoge kab tak behen ke laane ko

ajeeb zid hai ke...


tadap ke phir ye sada di hussain ne abbas

koi nahi hai is aafat mein jo bandhaye aas

tarayi chod ke aajao do ghadi ko paas

jawab maanga hai sughra ne kya likhun usko

ajeeb zid hai ke...


tumhi batao ke mai dil ka haal kis se kahun

khareeb e asr hai mehman do ghadi ka hoon

bilak rahi hai wo dukhiya watan mein kya keh doon

raha hai kya mere paas ab usay batane ko

ajeeb zid hai ke...


phir iske baad qasid se sheh ne farmaya

shaheed hogaye abbas chal basa dulha

ye dekh saamne akbar ka hai pada laasha

koi na aaya meri laash tak uthane ko

ajeeb zid hai ke...


abhi sitam hai mujhe aur sehna ay qasid

sada kise hai zamane mein rehna ay qasid

ye jaa ke fatema sughra se kehna ay qasid

jo ho sake to wo ab bhool jaye asghar ko

ajeeb zid hai ke...