ghar ghar mein safe matame shabbir bicha de
nemat ghame shabbir ki gar tujhko khuda de
dunya ko payame shahe mazloom suna de
matam ki sada se dil e baatil ko hila de
parda jo nigahon pe hai dunya ki hata de
ghar ghar mein safe...
hai mard wohi kar ke jo waade ko nibha de
ek sar ki zaroorat ho bahattar ka gala de
baazu e alamdar de behno ki rida de
jo kuch bhi ho sab raahe mohabbat mein luta de
itna de ke badle mein khuda soche ke kya de
ghar ghar mein safe...
dunya mein sada ban ke raho haq ke payami
zaalim ke mukhalif raho mazloom ke haami
aamaal ko kha jaati hai emaan ki khaami
har ek ko milti nahi sarwar ki ghulami
nemat ye mayassar hai usay jisko khuda de
ghar ghar mein safe...
haq kya hai zamane ko bataate huwe niklo
parda rukhe baatil se hataate huwe niklo
jaage huwe fitno ko sulaate huwe niklo
sote huwe zehno ko jagaate huwe niklo
naara wo karo kufr ki deewar jo dhaa de
ghar ghar mein safe...
kausar ghame sarwar mein lutaate huwe niklo
rote huwe dunya ko rulaate huwe niklo
mazloom ka paigham sunaate huwe niklo
abbas ke parcham ko uthaate huwe niklo
har naqshe qadam raahe haqeeqat ka pata de
ghar ghar mein safe...
batlao ke shabbir sa rehbar na milega
kaunain mein inka koi hamsar na milega
sardar e jina saaqi e kausar na milega
is dar ke siwa aur koi dar na milega
jis dar pe farishta bhi gada ban ke sada de
ghar ghar mein safe...
mumkin na hua kar ke jo sarwar ne dikhaya
khushnoodi e maula mein bhare ghar ko lutaya
akbar ko uthaya kabhi asghar ko sulaya
shabbir ne sar de ke zamane ko bataya
zinda hai wohi maut ki gardan jo jhuka de
ghar ghar mein safe...
badte huwe baatil ke qadam todne waale
aiwaan e takabbur ke sanam todne waale
ay tashna dahan khaak pe dam todne waale
hairaan hai khud tujhpe sitam todne waale
hai kaun tahe taygh jo ummat ko dua de
ghar ghar mein safe...
ye sabr ye zabt aur ye himmat nahi dekhi
insan ki ye meraaj ye azmat nahi dekhi
juz tere kisi mein bhi ye jurrat nahi dekhi
hyder ki qasam hum ne ye quwwat nahi dekhi
qillat se jo kasrat ke iraadon ko mita de
ghar ghar mein safe...
kehne ko musalman thay wo zulm ke baani
mehman bula kar na diya shaah ko pani
mitti mein mila di ali akbar ki jawani
hamshakle paighambar tha wo shabbir ka jaani
tasveer ka ye rukh bhi zamane ko dikhaade
ghar ghar mein safe...
baysheer ka haathon pe tadapte huwe marna
taapon ke tale laasha e qasim ka bikharna
phal barchi ka akbar ke kaleje mein utarna
sab saamne aankhon ke ho aur uff bhi na karna
kis dil mein ye himmat hai ye taaqat ye batade
ghar ghar mein safe...
chehre pe malay khoon qadam tez badhaye
ek nanhi si mayyat ko kaleje se lagaye
ye kaun chala jaata hai gardan ko jhukaye
maa dar pe hai qaime ke kahin dekh na paaye
fizza se kaho qaime ke parde ko gira de
ghar ghar mein safe...