Kanz e Aza

Ghar Jaiyo Zainab

A noha for Imam Hussain (a.s), written by Shakir Hussain. Lyrics in Roman Urdu.

sheh ne kaha jab shaam se ghar jaaiyo zainab

sughra ko meri seene se liptaiyo zainab


maange jo kaneezi mein sakina ko sitamgar

tu minnate kar kar usay chudwaiyo zainab

sheh ne kaha...


mil jaaye agar pani to sab pyason se pehle

pani meri sakina ko pilwaiyo zainab

sheh ne kaha...


dekhe jo nishan rassi ke sughra dam e giryan

baazu mein rasan thi na ye farmiyo zainab

sheh ne kaha...


mil jaaye agar chadarein to sab bewon se pehle

chadar tu meri kubra ko pinwaiyo zainab

sheh ne kaha...


mil jaaye agar doodh to do koozon mein bhar ke

fateha mere asghar ki tu dilwaiyo zainab

sheh ne kaha...