Kanz e Aza

Farde Aamaal Bas

A noha written by Sachey Bhai. Lyrics in Roman Urdu.

fard e aamaal mein bas ashk hamare honge

hashr ke din yehi bakshish ke sahare honge


qabr mein chain se soyenge azadaar e hussain

aankh kholenge to kausar ke kanare honge


khaafila khuld ki jaanib jo badhega apna

raahwar hazrate abbas hamare honge


ahle matam ko bhala rok sakega koi

baabe jannat pe jo zehra ke dulaare honge


kin tamannaon se atthara baras zainab ne

kitne sadqe rukhe akbar ke utaare honge


isko ek maa hi samajh sakti hai baade akbar

kaise din zeest ke laal ne guzaare honge


dil ka kya haal hua hoga ali akbar jab

le ke marne ki raza ran ko sidhare honge


maa ko shadi ke thay armaan magar thi na khabar

ye jawan honge to allah ko pyare honge


ro lo aaj haathon se sar peet ke asghar ko rabab

kal ko rassi mein bandhe haath tumhare honge


jaam ashkon ke liye karbobala tak pahuncho

dekhte raah wahan pyaas ke maare honge