Kanz e Aza

Aay Fajar Ruk Ja Aae Zainab

A noha for Shehzadi Zainab (s.a). Lyrics in Roman Urdu.

Aay fajar ruk ja aae Zainab ki sada.


Sani)

Teray daman main chupi hai meray baba ki qaza.


Antra)

Tujh say tabeer jurri hai jo khaab daikha hai

Khoon main doobi hai daikhi mainay amma ko rida.


Antra)

Aaj ruk ja aay fajar tu phir aaeyo Karbal

Main tujhay paal kay du gi Haye jawa’n Akbar sa.


Antra)

Zarb baba ko jo deni hai mujhko day dena

Sham bazar main hoga jab khula sir mera.


Antra)

Aur bhi sajdo main sir ay taigh daikh zara

Kya tujhay sajday main mera haye baba hi mila.


Antra)

John chehray pay fajar kay hain aaj bhi cheentay

Sir e Haider say lahu jo haye Kufa main utha .