Kanz e Aza

Aaye Alhe Aza Aaya Moharram Ka Mahina

A noha. Lyrics in Roman Urdu.

Aaye Alhe Aza Aaya Moharram Ka Mahina


Har Ghar Se Sada Aayinge Ab Haaye Hussaina


Hoyenga Shaheed Isme Mohammed Ka Nawasa


Har Ghar Se Sada Aayinge Ab Haaye Hussaina


1.Shabbir Pa Karne Liye Girya-o-Zari

Har Ghar Me Chaliyangi Zehra Ki Sawari

Jannat Me Lahu Royenge Sarkar-e-Madina


Har Ghar Se Sada Aayinge Ab Haaye Hussaina


2.Maidan Me Kal Kaqsad-e-Shabbir Ki Khatir

Jaan Apni Uthadenge Habeeb Ibne Mazahir

Mitjayenga Kal Hur-re-Dilawar ka Sarapa


Har Ghar Se Sada Aayinge Ab Haaye Hussaina


3.Hojaienge Kal Zibha Sabhi Naazou Ke Paale

Asghar Se Haseen Aun-o-Mohd Se Jiyale

Mit jayenga Ek Roz Me Zehra Ka Gharana


Har Ghar Se Sada Aayinge Ab Haaye Hussaina


4.Sau Tarah Ke Maqtal Me Sitam Dhayenge Zalim

Har Ek Khadam Shah Ku Rulwayenge Zalim

Hojaiyenga Tar Khoon Me Noushaha Ka Laasha


Har Ghar Se Sada Aayinge Ab Haaye Hussaina


5.Ek Hashr Bapa Howenga Dariya Ke Kanare

Kal Tadhpenga Abbas Ka Laasha Laabe Dariya


Har Ghar Se Sada Aayinge Ab Haaye Hussaina


6.Jab Payenge Maidan Me Jawan Bete Ki Mayyat

Khuh jayengi Shabbir Ke Aankhou Ki Basarath

Seene Se Nikal Aayenga Akber Ka Kaleja


Har Ghar Se Sada Aayinge Ab Haaye Hussaina


7.Kat Jayenga Maidan Me Jis Dum Sar-e-Sarwar

Shehezadiou Ke Khaimou Pe Phir Aayenga Meshar

Bin Shah Ke Jee Payengi Kis Tarah Sakina


Har Ghar Se Sada Aayinge Ab Haaye Hussaina


8.Ehsan Hai Shahezadi Ka Yeh Gham Hume bakhsha

Parwaaz Gham-e-sheh Ke Liye Hum Howe Paida

Shabbir Ka Matam Hai Hume Jaan Se Pyara


Har Ghar Se Sada Aayinge Ab Haaye Hussaina