Kanz e Aza

Aaye Jo Is Jahan

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Mirza Dabeer. Lyrics in Roman Urdu.

aaye jo is jahan mein hamshakle mustufa

aisa laga ke chand zameen par utar gaya

aaya phupi ki godh mein jis waqt mehlaqa

peshani uski choom ke zainab ne ye kaha

charcha karo jahan mein is shaah kaar ka

tohfa mila hussain ko parwardigar ka


al qissa shehr shehr khabar hogayi ye aam

akhbaar mein likha gaya mazmoon ye tamam

akbar pe husn ka kiya khaaliq ne ikhtetaam

na tha na hai na hoga hussain aisa was salaam

mehboob e haq hai shakl mein hyder hai shaan mein

baaham huwe nabi o ali phir jahan mein


par ashk baadshah e halab ko siwa hua

uske khameer mein ye namak tha mila hua

jis roz khalq yusuf e aale abaa hua

us roz wo bhi morid e fazl e khuda hua

dil mein ali ka ishq tha ye aarzoo mili

shaahe halab ko chand si beti ataa hui


shaahe halab ne paayi musarrat ki ye khabar

utra hai aaj sehne mohamed mein ek qamar

khush hogaya wo shaahe halab bas ye soch kar

beti ka meri aqd ho is chand se agar

us roz se halab ka wo sultan e naam daar

taaron ke badle chand kiya karta tha shumaar


atharwan baras hua akbar ko jab shuru

shaahe halab ke bakht ka suraj hua tuloo

chaaha ke rasme aqd ka ye saal ho vuquu

ye soch ke hussain se usne kiya rujoo

sultan ke khat ko paaya jo zehra ke chain ne

khat ka diya jawab usay yun hussain ne


pahuncha tera areeza hui ittelaa e haal

beti ke aqd ka ali akbar se hai khayal

armaan hai kamaal teri aarzoo kamaal

mai bhi dua karunga mubarak ho tujhko saal

hai marzi e mabood to inkar kya mera

taqdeer mein nahi hai to iqraar kya mera


shaahe halab ko pahuncha juhin ruqqa e imam

khush hogaya naseeb ke khulne pe nek naam

zauja se apni karne laga is tarha kalaam

beti ke aqd ki karo tayyariyan tamam

dunya o aakhirat mein teri aabroo bane

beti teri hussain ke ghar ki bahu bane


saaman yahan to tha ali akbar ke byaah ka

nikla udhar wo khaafila yasrab ke shaah ka

aate hi dasht mein hua nargha sipaah ka

ghera adoo ne qaima risaalat panaah ka

dulhan ke ghar mein log ghiza nosh karte thay

dulha ke ghar mein tifl mein faaqon se marte thay


sehra wahan bana ali akbar ke waaste

yan maut nauhagar thi usi sar ke waaste

poshak thi wahan dil e hyder ke waaste

yan bekafani thi usi dilbar ke waaste

sadqe rasool zadiyan murde pe hoti thi

zainab sirhane paainti maa behne roti thi


ab maajera halab ka sunaun ke kya hua

shaahe halab ka mehel tha kaisa saja hua

yasrab ka qazd tha dil mein chupa hua

itne mein ek shaks wahan roonuma hua

usne sunaani aan ke di badshaah ko

maqtal mein maar daala shahe deenpanah ko


sultan patak ke taaj pukara ke kya hua

usne kaha hussain shaheed e jafa hua

gharkaab ashk mazhar e noor e khuda hua

yani tabaah gulshane aale aba hua

ye baat sun ke rone laga phir wo nek naam

shadi ke ghar mein hogaya majlis ka ehtemam


maqtal mein pahuncha ahle haram ka jo kaarwan

dekha ke ek uroos hai laashon ke darmiyan

bas ay dabeer khatm karo marsiya yahan

sar nange baal khole wo karne lagi fughan

jaane hussain ki mujhe is dam talaash hai

ay karbala kidhar mere dulha ki laash hai