Kanz e Aza

Ab Laut Jao Baba

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Fakhri Meerthi. Lyrics in Roman Urdu.

qaime se ran ke liye jab ali akbar nikle

peeche bete ke jigar thaam ke sarwar nikle


akbar pukare ro kar ab laut jao baba

bole ye sheh tadap kar mai kaise laut jaun


haye baba haye haye baba


hai dhoop aag jaisi saaya yahan nahi hai

ho teen din se pyase jalti hui zameen hai

paidal chaloge kyun kar ab laut jao baba


haye beta haye haye beta


ye to faqat zameen hai gar aag ka ho darya

chalta rahunga paidal chaahat mein teri beta

hum surat e payambar mai kaise laut jaun


haye baba haye haye baba


sar par musibaton ka ye aasman kab tak

baba mohabbaton ka ye imtehan kab tak

seene mein dil hai muztar ab laut jao baba


haye beta haye haye beta


is imtehan ki azmat tum jaante nahi ho

aulaad ki mohabbat tum jaante nahi ho

gardish mein hai muqaddar mai kaise laut jaun


haye baba haye haye baba


sailaab aansuon ke behne se fayda kya

yun mere peeche chalte rehne fayda kya

jazbaat ko bhula kar ab laut jao baba


haye beta haye haye beta


ahl o ayaal rakhte ghar ko sambhale hote

ay kaash tum bhi beta aulaad waale hote

chalta hai dil pe khanjar mai kaise laut jaun


haye baba haye haye baba


jo kuch hai farz mera usko nibharaha hoo

mai deene haq ke khaatir maidan mein jaa raha hoo

sabr o raza ke paikar ab laut jao baba


haye maula haye haye maula


ay aamir aur fakhri tha hashr ka nazara

dil thaam ke jo ran mein shabbir ne pukara

ay mere laal akbar mai kaise laut jaun


akbar pukare ro kar ab laut jao baba

bole ye sheh tadap kar mai kaise laut jaun