Pohnche jo Hussain Ibne Ali LaashePisar par
Wo haal nazar aaya chhuri chal gayi dil par
Ye keh ke zamee'n par gire Bete ke barabar
Aaya hai Pidar hosh meAao Ali Akbar
Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar
Zaalim koi bekas ko bataata na tha rasta
Chhaaya tha nigaahon me andhera hi andhera
Aaya hai pidar paas Tere thokare'n khaataa
Aankhon ko hua kya Meri poochho Ali Akbar
Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar
Tum chup ho to chalte hain Mere qalb pa khanjar
Kuch haal ladaai ka sunaao MereDilbar
Batlaao ke kis tarha laga zakhm jigar par
Kuch baat karo aankh to kholo Ali Akbar
Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar
Faryaad labo'n par hai aur ashko'n ki rawaani
Ghurbat bhi zaeefee bhi hai aur tashna dahani
Hanste hain Mere haal pa dushman MereJaani
Tanha Mujhe is tarha na chhoro Ali Akbar
Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar
Kyun paau'n ragadte ho kahan zakhm laga hai
Batlao Meri Jaa'n Mera dil baith raha hai
Kyun haath hai seene pa kahan zakhm laga hai
Phat jaaege dil Baap ka bolo Ali Akbar
Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar
Nouha hai labon par hai lahu aankhon se jaari
Ham kab se khade rote hain baali'n pa Tumhari
Khaaya na taras Tum ne ghareebi pa Hamari
Dil Baap ka is tarha na todo Ali Akbar
Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar
Aye Laal tasawur me tha Maa ke Tera sehra
Hai der se darwaaza e khaima pa WoDukhiya
Kya jaake bataaaun Main hua haal Tumhara
Laila se kahu'n kya ye Bataaao Ali Akbar
Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar
Ab der jo ki Tum ne to karti hui zaari
Be parda Bahan aaegi maqtal meHamari
Maadar kahin Marjaay na sadme seTumhari
Baba bhi nahi'nJeene ke Sunlo Ali Akbar
Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar
Kis tarha se Dekhe ye Pidar haal Tumhara
Qaabu menahi'n qalb ulat'ta hai kaleja
Pehlu me hai dil Baap ka pathar nahi'nBeta
Aage Mere is tarha na tadpo Ali Akbar
Ab ghar ko Chalo khaakh se Utho Ali Akbar