Kanz e Aza

Abbas e Jari

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Ali Jaweed Maqsood. Lyrics in Roman Urdu.

ay faatah e khyber ke bete

ay sher e jawan abbas e jari

karti hai tumhari turbat par

zainab ye fughan abbas e jari


hum gheerat hyder shaan e ali

poocho to behan par kya guzri

utho mai dikhane aayi hoo

baazu ke nishan abbas e jari


di maine sada bhaiya tum ko

amma ne pukara tha tum ko

jab pyase galay par sarwar ke

khanjar tha rawan abbas e jari


shabbir ne tum ko yaad kiya

hasrat se suye saahil dekha

peeri mein uthayi bekas ne

jab laashe jawan abbas e jari


jab shaam e ghariban qaime jale

jab hum pe baraste thay kode

saahil pe suni hogi tum ne

bewon ki fughan abbas e jari


shabbir ke dil par kya guzri

kuch tum ko khabar iski na hui

tooti mere akbar ke dil mein

jab nok e sina abbas e jari


be-maqna o chadar aale nabi

bazaar mein darbaron mein gayi

har lamha tumhe deti thi sada

ashkon ki zuban abbas e jari


tum naaz uthaate thay jis ke

hum qaid mein usko chod aaye

ta hashr tumhari pyari ka

zindan hai makan abbas e jari


ay sher e dilawar kya bayan

phat'ta hai jigar rukti hai zuban

pamaal hua tanha ran mein

zehra ka nishan abbas e jari


bano ne jo asghar ka laasha

shabbir ke haathon par dekha

manzar tha qayamt ka bhaiya

mehshar ka samaa abbas e jari


jawed tha ek mehshar barpa

ghazi ka larazta tha rauza

awaaz jo deti thi zainab

ay sher e jawan abbas e jari