Kanz e Aza

Abbas Ek Baar

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Zeeshan Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ek baar sada do na

maa keh ke pukaro na

ya abbas ya abbas


waqt e ruqsat hussain ko bhai

jab alamdar ne kaha hoga

sochta hoo ke roohe zehra ne

roke us waqt ye kaha hoga


abbas abbas

ek baar mujhe bhi maa keh de


shabbir ko bhai tu ne kaha

bhai ka kiya armaan poora

armaan mera poora kar de abbas

ek baar mujhe bhi..


ay laal mere maa hone ka

har farz nibhaya hai maine

shabbir ke haathon se tujhko

jhoola bhi jhulaya hai maine

ehsaan tera hoga mujhpe abbas

ek baar mujhe bhi..


zakhmi thi bohat phir bhi tujhse

is maa ko mohabbat thi itni

ek haath tha mera pehlu pe

ek haath se kurta seeti thi

sab zakhm mere bhar jayenge abbas

ek baar mujhe bhi..


jis waqt gira tu ghode se

mai dekh rahi thi wo manzar

aaghosh mein tujhko rote huwe

maine hi sambhala tha bad kar

kab door hui hoo mai tujhse abbas

ek baar mujhe bhi..


bacchon ke liye jab darya se

mashkeeza bhara pani na piya

seh roz ka pyasa ho kar bhi

kya khoob nibhayi tu ne wafa

ay tashna dahan mere pyase abbas

ek baar mujhe bhi..


teri aankh se teer nikalun mai

tu dekhle bhai ka chehra

ye waqt e judaai hai dil mein

hasrat na rahe koi beta

aa khoon hata doon aankhon se abbas

ek baar mujhe bhi..


qaime mein sakina pyasi hai

ye baat tujhe tadpati hai

is haal mein bhi tujhko haye

zainab ki rida yaad aati hai

aa tujhko laga loon seene se abbas

ek baar mujhe bhi..


zeeshan sunaya ro ro kar

irfan e aza ne ye nauha

darya ke kanare ghazi ne

maa kehte huwe dum tod diya

zehra ne kaha jab ro ro ke abbas

ek baar mujhe bhi..