is gham ne azadaron bohat mujhko rulaya
is saal bhi zawwaron mein jab naam na aaya
dil toot gaya karbala na jaane ke gham se
ro ro ke kaha maine lipat kar ye alam se
ek baar mujhe bhi to sada do
abbas abbas abbas mujhe karbala dikha do
shabbir ka zawwar bana do
abbas mujhe karbala dikha do
tum jaante ho koi nahi mera sahara
abbas kate haathon se tum kar do ishara
jab yaad hussain aate hai rota hai mera dil
mar jaunga maula se mila do na khudara
kitna bechain hai dil karbala hai manzil
jald aasaan karo maula meri mushkil
kab aaunga bas itna bata do
abbas mujhe karbala...
milta hai koi jab safare ishq se aa kar
rota hoon bohat dayr gale us ko laga kar
mai bhi to azadar hoon kya dil nahi mera
zawwaron ki khidmat mein karun paaon daba kar
wahan paidal mai chalun saare maukab dekhun
wa hussaina keh kar khaak chehre pe malun
ek baar mashi mujhko kara do
abbas mujhe karbala...
paaon thay kahin jism kahin haath kahin thay
rauza hai jahan khoon mein tar aap wahin thay
teer aankh mein tha chehra bhi zakhmon se bhara tha
jab zeen se gire aap ke baazu hi nahi thay
pursa dena hai mujhe aap ko ro ro ke
jahan dono baazu khaak par kat ke gire
dono kafe abbas dikha do
abbas mujhe karbala...
seene se lipat jaata hai jaise koi baccha
aise hai mujhe shaah ke rauze se lipatna
mas kar ke sabhi apna kafan laate hai lekin
mai unke liye le ke kafan jaunga maula
dil tadapta hai mera aaj bhi ay maula
bekafan ghurbat mein hai ghareeb e zahra
mujhko mere maula se mila do
abbas mujhe karbala...
jab pehli nazar aap ke gumbad pe padegi
gir jaunga sajde mein dua maangunga ghazi
har saal yahan aata rahun aap se milne
sun lena alamdar tum aawaz ye dil ki
tum hi to sunte ho haan karam karte ho
hum azadaron ke dil mein tum rehte ho
tum maujiza ab koi dikha do
abbas mujhe karbala...
zawwaron se aati hai mujhe aap ki khushboo
aankhon se nikal aate hai maula mere aansu
hasrat se unhe dekhta rehta hoon mai ro kar
us waqt nahi rehta hai dil par mere qaabu
dil ye kehta hai mera ay shahenshahe wafa
karbala mein mera kab bulawa hoga
ab jald koi raah bana do
abbas mujhe karbala...
abbas jahan par hui akbar ki shahadat
kya mere muqaddar mein nahi hai wo ziyarat
akbar ke kaleje pe jahan tooti thi barchi
tooti thi wahin dilbare zehra pe qayamat
dekh loon mai jaa kar wo maqame akbar
shaah pahunche thay jahan khaak par gir gir kar
akbar se mohabbat ka sila do
abbas mujhe karbala...
dil kitna pareshan hai abbas se bolo
wo baabe hawaij hai tum umeed na chodo
aate hai wo khud shah ke zawwaron ko lene
ek baar unhe baali sakina ki qasam do
jald wo aayenge shaah bulwayenge
aur tumhe karbobala saath le jayenge
ay meesam o zeeshan sada do
abbas mujhe karbala...