abbas na laute sheh aagaye mashk aagayi
maqtal ki zameen bha gayi abbas na laute
abbas na laute...
is shaan se maqtal ko sidhara tha alamdaar
aada ki nazar khaa gayi abbas na laute
abbas na laute...
jab teer chala beh gaya sab mashk se pani
abbas ko sharm aagayi abbas na laute
abbas na laute...
rone ke liye laasha e shabbir pe ran may
firdaus se maa aagayi abbas na laute
abbas na laute...
qaimon may lagi aag to ammu ko bulane
masoom sakina gayi abbas na laute
abbas na laute...
had hogayi bhai ko manane labe saahil
khud saani e zehra gayi abbas na laute
abbas na laute...
kya jaaniye kyun rooth gaye kehti thi zainab
ruqsat ki ghadi aagayi abbas na laute
abbas na laute...
behta hua kano se lahoo sookhe hue lab
dikhlane sakina gayi abbas na laute
abbas na laute...
deti rahi awaaz pe awaaz sakina
aakhir ko khaza aagayi abbas na laute
abbas na laute...
pani ke liye mashk o alam le ke gaye thay
din dhal gaya raat aagayi abbas na laute