Kanz e Aza

Abbas Na Jao

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Ahmed Naved. Lyrics in Roman Urdu.

seene se lago ya mujhe seene se lagao

abbas na jao

zainab ko ghash aaya hai usay hosh mein lao


tum ho to usay apni rida yaad nahi hai

baba ka kaha tum na usay yaad dilao

abbas na jao

seene se lago...


kehti hai ke ye haath mere sar ki rida hai

lillaah na in haathon ko darya pe katao

abbas na jao

seene se lago...


tum jaate ho jabse ye khabar usne suni hai

wo khaak pe baithi hai sakina ko uthao

abbas na jao

seene se lago...


lashkar ke alamadar ho tum ho mera lashkar

lillaah mere hote na hathyaar sajao

abbas na jao

seene se lago...


pani se bhala hijr ki kab pyaas bujhegi

hai tashnalabon ki ye sada haye na jao

abbas na jao

seene se lago...


pehle mere halqoom pe chal jaane do khanjar

jeete ji mujhe tum to na ye daagh dikhao

abbas na jao

seene se lago...


phir shimr hai aur shaam e ghariban ka andhera

chodun mai sakina ko kahan ye to batao

abbas na jao

seene se lago...


thay bain ye qaime mein naved ahle haram ke

baad apne darindo ke liye chod na jao

abbas na jao

seene se lago...