saqqa e sakina saqqa e sakina
abbas sakina ko zara aake bacha lo
tum baazuon mein apne sakina ko chupa lo
tum jab se gaye ho suye maqtal suye darya
hai khaak mein baithi usay seene se laga lo
abbas sakina ko zara...
rassi jo galay mein hai zara aan ke kholo
baalon pe jo hai gard zara aake hata lo
abbas sakina ko zara...
roti hai bilakti hai sisakti hai wo har aan
ashk uske zara aake hateli mein chupa lo
abbas sakina ko zara...
maloom hai tum ko ke tum hi aas ho uski
wo hogayi be-aasra tum aas bandha lo
abbas sakina ko zara...
ya tum wahan aajao jahan bhi hai sakina
ya tum ho jahan haye wahan usko bula lo
abbas sakina ko zara...
is qaime se us qaime mein jaati hai sakina
qaimon mein layeen aate hai parda to bana lo
abbas sakina ko zara...
zainab ye sada deti thi sar peet ke apna
qaimon mein lagi aag zara aake bujha do
abbas sakina ko zara...