Godi hai Jiski sooni ujda Suhag Jiska
Karbal me so raha ho jis Maa ka Jhoole wala
Us Maa ke Dil ko kaise dega koi dilasa
Abid Utha Rahe Hain Apni Bahan ka Laasha
Abbas ki Bhatiji paiham tamache Khaake
Aayi thi Karbala se zulmo sitam Uthake
Khamosh Hogayi kyu'n roodaade Gham sunake
Abid Utha Rahe Hain Apni Bahan ka Laasha
Baba ko yaad karke Rone bhi Wo na Paayi
Seena kaha'n se milta Sone bhi Wo na Paayi
Zakhmo'n ko Aansuo'n se Dhone bhi Wo na Paayi
Abid Utha Rahe Hain Apni Bahan ka Laasha
Rukhsaar neelgu'n hain Kurta phata huwa hai
Kaano se khu'n hai jaari zakhmo ka silsila hai
Har Naaz uthane Wala Karbal me Soraha hai
Abid Utha Rahe Hain Apni Bahan ka Laasha
Bimar-e Karbala Par tooti nayi musibat
Hoti haiab Sakina Ahle Haram se rukhsat
Zinda'n me banrahi hai Nanhi si ek Turbat
Abid Utha Rahe Hain Apni Bahan ka Laasha
Ek aakhri Wasiyat Bhai se Usne Ki thi
Lekin Wasiyat Uski puri na hone paayi
Zinda'n hi me Rasheed ab Turbat banegi Uski
Abid Utha Rahe Hain Apni Bahan ka Laasha