abid e bemaar
karb mein doobe zakhmi wo manzar
zulm hazaron ek dil e muztar
tha yehi nauha tere labon par
as-shaam as-shaam as-shaam
shehr tamasha haye wo bazaar
abid e bemaar...
kaisa sitam ye tujhpe hua hai
kaisi aseeri kaisi jafa hai
tauq mein jakda tera gala hai
as-shaam as-shaam as-shaam
zainabe kubra teri madadgaar
abid e bemaar...
raahon mein kaante paaon mein chaale
maaon se bichde godh ke paale
kaun kise ab kaise sambhale
as-shaam as-shaam as-shaam
zulm musalsil manzil e dushwaar
abid e bemaar...
pyaas ki shiddat karbe yateemi
nanhi si gardan aur wo rassi
kaisi thi ghurbat choti behen ki
as-shaam as-shaam as-shaam
tere jigar par chalti talwaar
abid e bemaar...
khaak mein ghaltan khoon mein doobe
ek rasan mein baara galay thay
unko sitamgar khaynch rahe thay
as-shaam as-shaam as-shaam
koi nahi tha unka madadgaar
abid e bemaar...
girya kuna thi aale payambar
baazu mein rassi aur thi khule sar
kursi nasheen thay saare sitamgar
as-shaam as-shaam as-shaam
waye musibat shaam ka darbar
abid e bemaar...
shaam ka zindan aur wo andhera
kehti thi roke pyasi sakina
aaiye baba aaiye baba
as-shaam as-shaam as-shaam
maa hai pareshan bhai hai bemaar
abid e bemaar...
rote hai baqar lab pe hai nauha
kehte hai ro kar mai hua tanha
zehre sitam se mar gaye baba
as-shaam as-shaam as-shaam
mar gaya pyason ka ghamkhwar
abid e bemaar...
hota hai veeran shehre madina
aaj hai khamosh deen ka maseeha
goonj raha hai uska ye nauha
as-shaam as-shaam as-shaam
hogaya ruqsat sheh ka azadaar
abid e bemaar...
kitne masayeb likhe rasheed ab
toot raha hai hausla ya rab
roti hai aankhein kaampte hai lab
as-shaam as-shaam as-shaam
bas yehi awaaz aati hai har baar
abid e bemaar...