Kanz e Aza

Abide Bemaar ka

A noha for Zain-ul-Abedeen (a.s), written by Sibte Jafar. Lyrics in Roman Urdu.

momino ye hai janaza abid e beemar ka

jo kabhi bhoola na manzar shaam ke bazaar ka


dhoop thi aur pyaas thi aur taziyana tha ghiza

khoon bhi jaari jism se tha shaah ke dildaar ka

momino ye hai janaza...


di sada zainab ne baba ko layeeno ne ke jab

pusht se khayncha gaya tha bistar abid e beemar ka

momino ye hai janaza...


maa phupi bhene khadi thi be-rida bazaar mein

tha ajab ye imtihan us khaafila saalaar ka

momino ye hai janaza...


bar sare mehfil taaruf bibiyon ka jab hua

sharm se sar jhuk gaya us bekas o lachaar ka

momino ye hai janaza...


kuch nahi parwa sataaish ki ba-roz e hashr hi

denge maula khud sila mujhko mere ashaar ka

momino ye hai janaza...


ab dua ye hai shajeeha ki imam e asr se

silsila jaari rahe afkaar ke izhaar ka

momino ye hai janaza...