ahle haram ka khafila salaar
abid e bemaar abid e bemaar
kis se kahe wo apni musibat
paon mein chaale raasta purkhaar
abid e beemar...
ahle haram ka khafila...
kis ko pukare kisko sada de
koi nahi hai uska madadgaar
abid e beemar...
ahle haram ka khafila...
hai ye sitam ki kaun si manzil
saaye mein dunya dhoop mein bemaar
abid e beemar...
ahle haram ka khafila...
jab se pada hai tauq gale mein
saans bhi lena hogaya dushwaar
abid e beemar...
ahle haram ka khafila...
kis ko nigahein dhoond rahi hai
chaaron taraf hai sirf sitamgaar
abid e beemar...
ahle haram ka khafila...
qaid hai phupiyan wo bhi khule sar
sar hai jhukaye bekas o laachar
abid e beemar...
ahle haram ka khafila...
us ke liye hai raah mein kaante
jis pe nichawar khuld ke gulzaar
abid e beemar...
ahle haram ka khafila...
khoon badan ka pee gaye chaale
haathon mein raasha zard hai rukhsaar
abid e beemar...
ahle haram ka khafila...
thokarein kha kar karta hai sajde
dekha nahi hai aisa giraftaar
abid e beemar...
ahle haram ka khafila...
kyun na wo roye khoon ke aansu
naksh hai dil par shaam ka bazaar
abid e beemar...
ahle haram ka khafila...
hum ne suroor aaj khoon e jigar se
dil pa likhe hai nauhe ke ash'aar
abid e beemar...
ahle haram ka khafila...