andhere ghar mein sughra diye jalaati hai
jab dil ghabrata hai jab yaad sataati hai
bemaar behan tujhko ro ro ke bulaati hai
akbar ghar aaja sughra ka waasta
yaad mein teri ro ro kar mar jayegi sughra
akbar ghar aaja sughra ka waasta
tu door hai mujhko ye gham hai
baba ki tujhe qasam hai
mai takti rahi tera raasta
madine se tu jab gaya karbala
karbala karbala haye karbala
mujhko bhi le chal poora kar de waada
akbar ghar aaja...
ab katt'te nahi hai raat aur din
mai kaise jiyun tere bin
yahan aagayi mujhe maut agar
mere bhai aana meri qabr par
qabr par qabr par haye qabr par
nana ki jaa kar karti hoon roz dua
akbar ghar aaja...
awaaz mein teri jeete ji
mai phir se azaan sun loo
tujhe dekhna hai mehrab mein
tu ek baar aaja mere khwaab mein
khwaab mein khwaab mein haye khwaab mein
maine dekha hai zakhmi tera seena
akbar ghar aaja...
akbar ye tamanna hai meri
mai shaadi rachaun teri
behan bhai hum dobara mile
badhani hai bhaiya mujhe mannatein
mannatein mannatein haye mannatein
maani hai maine dekhun tera sehra
akbar ghar aaja...
jab chand moharram ka dekha
dil mera tadap ke bola
khuda se yehi dua maine ki
badha de mere bhai ki zindagi
zindagi zindagi haye zindagi
meri bhi tujhko lag jaaye mere bhaiya
akbar ghar aaja...
sughra ne khat mein
zeeshan o irfan e aza ye likha
sar e karbala ye khat khol kar
hussain aa gaye ek jawan laash par
laash par laash par haye laash par
aakar sheh bole paigham hai sughra ka
akbar ghar aaja...