akbar tujhe talaash karun kis dayaar mein
sughra tadap rahi hai tere intezaar mein
lene ko aayega mera bhaiya mujhe zaroor
mai jee rahi hoo ab to isi aetbaar mein
akbar tujhe talaash...
dekha hai jab se maahe moharram ke chand ko
kyun dil mera nahi hai mere ikhtiyaar mein
akbar tujhe talaash...
mai kaise jaa ke poochun bhala khaafile ka haal
dahleez par khade hai kayi gham khataar mein
akbar tujhe talaash...
abbas bhi nahi hai na baba hai mere paas
apno ko dhondti hoo mai askhon ki dhaar mein
akbar tujhe talaash...
hasrat bhari nigahein tadapti hai har ghadi
pathra gayi hai putliyan ab intezaar mein
akbar tujhe talaash...
mujhko khiza ke ashk rulaate hai baar baar
jo din guzaare saaya e fasle bahaar mein
akbar tujhe talaash...
pur haul ashiyan mein mujhe lag raha hai yun
jaise ke maut nikli hai mere shikaar mein
akbar tujhe talaash...
asghar ki yaad seene mein chubti hai jis tarha
aise chuban to hoti nahi noke khaar mein
akbar tujhe talaash...
sughra ke dil par girti hai reh reh ke bijliyan
har aarzu hai dil ki ghamon ke hisaar mein
akbar tujhe talaash...
kuch aur gham uthaun alaalat ke saath saath
ithi sakhat kahan hai dil e soghwaar mein
akbar tujhe talaash...
gar kuch nahi to koi dilaasa hi de mujhe
kuch to qaraar aaye dile beqarar mein
akbar tujhe talaash...
raatein guzar rahi hai madine mein is tarha
jaise koi tadapta ho apne mazaar mein
akbar tujhe talaash...
kismat ke haaton ek khilona hai aadmi
kuch bhi nahi hai apne raza ikhtiyaar mein
akbar tujhe talaash...