momino ke lab pa hai aah o buka
ashk barsao moharam aa gaya
cha gayi har soo masayab ki ghata
ashk barsao moharam aa gaya
dil ke ho jazbaat har pal nauhagar
saara aalam ho faqat askhkon se tar
aisi goonje wa hussaina ki sada
ashk barsao...
aa gaye pardes mein choota watan
jin ke laashe dasht mein thay bekafan
un aseeron ka karo matam bapa
ashk barsao...
apna maula wo husaain ibne ali
jis ke dam se deen mein hai roshni
asr e ashoora wo suraj dhal gaya
ashk barsao...
bhool ke haalat ki ye abtari
apni aankhein ashke gham se ho bhari
hai ghame shabbir har gham ki dawa
ashk barsao...
karbala se shaam jab qaidi chale
pad gaye pairon mein unke aabile
is qadar dushwaar tha wo raasta
ashk barsao...
in pa rote hai sabhi jinn o malak
hai zameen ghamgeen pareshan hai falak
itna hai pur soz zikr e karbala
ashk barsao...
ho na madham aansuon ki roshni
ye wasiyat hazrat e zainab ki thi
us wasiyat ka hai tum ko waasta
ashk barsao...
hum ghulamane shah e abraar hai
karbala waalon ke matamdaar hai
ye zameen shabbir ka hai ghamkada
ashk barsao...
aisa ho farsh e aza ka ehtemaam
sadqa e shabbir mein langar ho aam
har aza khana ho ek neymat kada
ashk barsao..
majlis o matam ho nauhe aur salaam
marsiye ho aur zaakir ka kalaam
raat bhar jaari rahe ye silsila
ashk barsao...
maqsad e shabbir ho apni hayaat
ho rawan har aankh se nehre furaat
ho tassawur tashnagi e shaah ka
ashk barsao...
jitna ro sakte ho ro lo shaah par
khatm ho jaye na jaane kab safar
kya bharosa zindigi ka ay raza
ashk barsao...