Kanz e Aza

Aye Chand Moharram Ke Tu Badli Me Chala Ja

A noha for Ibteda-e-Aza, recited by Anjuman e Shaidae Ali Asghar. Lyrics in Roman Urdu.

Aye Chand Moharram Ke Tu Badli Me Chala Ja

Tujhe Dek Ke Marjaye Na Bimar Hai Sugra

Ghar Zehra Ka Lootne Kiqabar Tum Ne Sunaee

Tujhe Dekh Ke Roti Hai Moharram Me Khudaee


Chouda Sou Baras Bite Hai Sab Karte Hain Shikwa

Milne ke Liye Bhai Ko Bechain Padi Hai

Kabse Ali Akbar Ki Raahon Me Khadi Hai

Bichdi Hai Ye Muddart Seise Tu Na Nazar Aa


Veeran Gharoun Me Na Ise Neend Hai Ayi

Akbar Ki Judai Hai Ise Khoob Rulati

Khadmoun Ke Nishan Daanp Ke Baithi Hai Sar-e-rah

Gin Gin Ke Jo Sugra Ne Ye Din Hai Guzare


Zinda Hai To Akbar Ke Wadoun Ke Sahare

Din Raat Tadapti Hai Ise Aur Na Tadpa

Behnou Ka Tho Bhai Se Rishta Hi Ajab Hai

Tum Bhool Gaye Mujko Kaisa yeh Ghaazab Hai


Is Aas Pe Zinda Houn Ke Dekhoun Tera Sehra

Wada Kiya Behna Se Seene Se Laga Ke

Main Shadi Karunga Tho Tere Paas Hi Aakey

Qath Aaya Na Akbar Ka Roti Rahi Sughra