deen e ahmed ki baqa tu kyun na ghazi ye kahun
karbala mein kar diya hai tu ne baatil sar-nigun
aaj bhi lehra raha jo parchame abbas hai
hai diya ghazi ko rutba kibriya ne khaas hai
parchame islam hai ye na kabhi hoga ye kham
mustafa hamza ali abbas ka hai ye alam
likhe jo iski fazeelat qalm na qirtaas hai
aaj bhi lehra raha jo...
arzoo ye hai ali ki sayyeda ki hai dua
is liye kehta zamana hai isay rab e wafa
poori karta hai alam ye har dukhi ki aas hai
aaj bhi lehra raha jo...
yaad rakhega zamana iski meraj e wafa
pani mein bheege jo baazu wo diye dono kata
maar di pani to thokar teen din ki pyaas hai
aaj bhi lehra raha jo...
jis tarha maula ali hai ye bhi hai mushkil kusha
hai yehi babul hawaij hai yehi behre ataa
paas hai jo jo ali ke sab unhi ke paas hai
aaj bhi lehra raha jo...
sar barehna bibiyon ko dekhe kaise alamdar
unka sar khursheed naize se hai girta baar baar
kis khadar behno ke parde ka unhe ehsaas hai
aaj bhi lehra raha jo...