jab suni shaah ne awaaz jawan bete ki
laash par aake ye farmane lage sibte nabi
ab aankhein khol do akbar sirhane aagaya baba
zaeefi mein jawan laasha uthane aagaya baba
guzar jayenge hum is imtehan se ya ali keh kar
nikal jayegi ye barche na ghabrana mere dilbar
tumhara haath seene se hatane aagaya baba
ab aankhein khol do...
unhone kya samajh rakha tha akbar be-sahara hai
ishare se bata do kisne kisne tum ko maara hai
ulat kar aastin mehshar uthaane aagaya baba
ab aankhein khol do...
chali aayi thi aadhe raaste tak saani e zehra
badi mushkil se bheja hai qasam de kar teri beta
behen kaise tadapti hai batane aagaya baba
ab aankhein khol do...
kaha tha kisi ne seene mein tumhare tod kar naiza
ye manzar dekh kar shabbir zinda reh na payega
khabar kar do usay barchi chudane aagaya baba
ab aankhein khol do...
lade ho dayr tak thak to gaye hoge mere dilbar
mujhe mat rokna hargiz tumhe meri qasam akbar
tumhare chand se baazu dabane aagaya baba
ab aankhein khol do...
uthaata dhoom se mayyat agar hota madine mein
kafan mai de nahi sakta yehi hai dard seene mein
amaama tumko nana ka udhaane aagaya baba
ab aankhein khol do...
jo rota dekhti mujhko tadap jaati meri madar
mai khul kar ro nahi paaya mohamed ke janaze par
jo aansu reh gaye thay wo bahane aagaya baba
ab aankhein khol do...
nazar kaise lagegi ab badan saanso se khaali hai
kalayi se tumhari kaali dori khulne waali hai
phupi ki aakhri mannat badhane aagaya baba
ab aankhein khol do...
nazar aa jayega tumko behen hai ab kahan beta
utho dekho hamari ungliyon ke darmiyan beta
tumhe sughra ki tanhaai dikhane aagaya baba
ab aankhein khol do...
padhi nade ali le kar chale sheh laasha e akbar
takkalum aayi pehlu se sada e faatahe khyber
mere beta teri himmat badhane aagaya baba
ab aankhein khol do...