kehti hai ran mein fatema
abbas beta marhaba
tu ishq ki meraj hai
sar par wafa ka taaj hai
saabit ye tu ne kar diya
darya pe tera raaj hai
chullu mein le li alqama
abbas beta marhaba...
aale nabi ki aas hai
imran ka akkaas hai
teri talab darya nahi
darya ko teri pyaas hai
saqqa e aale mustafa
abbas beta marhaba...
tujhse zabar bhi zer hai
tashnalabi se ser hai
haibat hai sheron par teri
tu sher e haq ka sher hai
shamsheer e shaah e karbala
abbas beta marhaba...
ajdaad ki pehchan hai
binte ali ka maan hai
bachpan se lekar aaj tak
shabbir par qurban hai
qurban tujhpar hai wafa
abbas beta marhaba...
tere shaano pe qurban jaun
aaja seene se apne lagaun
tujhko shabbir jaisa samajh kar
apne haathon se pani pilaun
darya se pyasa aagaya
abbas beta marhaba...
tha ye mehzar mein abbas likha
tashnalab hi rahegi sakina
gham na kar mashk gar chid gayi hai
tujhse raazi hai shaah e madina
tune ada haq kar diya
abbas beta marhaba...
jo mahafiz thay aale nabi ke
kat gaye haye baazu wo tere
aaj se hashr tak deen ka parcham
tu uthayega bin baazuon ke
ab ye alam tera hua
abbas beta marhaba..
jo takallum hai emaan tera
shadman ka wohi hai aqeeda
rauza e ibne shere khuda par
dil ye kehta hai ahle aza ka
ek maa ki aati hai sada
abbas beta marhaba...