fatema zahra
haye haye zainab haye haye shaam
shaam ko jaate huwe
kehti thi saani e zahra
al madad ya zehra
sharm aati thi mujhe mai baap se na keh saki
aap maa hai jaanti hai kaifiyat dil ki meri
ho gayi binte ali na mehramon mein beparda
al madad ya zehra...
bekasi dikhla rahi hai kya qayamat ka samaa
mar na jaaye gham se maqtal mein kahin asghar ki maa
kaise dekhegi bhala naize pe jism asghar ka
al madad ya zehra...
door na hone diya tha apni nazron se jise
us jawan bete ko laila alwida kaise kahe
laashe akbar saamne rone pe hai laga pehra
al madad ya zehra...
hathkadi haathon mein hai aur bediyan hai paon mein
ab kaha mohlat milegi baithne ki chhaon mein
shaam tak sajjad ka kaanto se hai hai bhara rasta
al madad ya zehra...
ladkhadate hai qadam aur aankh mein aansu bhare
marhala dushwaar hoga ye ruqayya ke liye
laasha e abbas se guzregi kaise beparda
al madad ya zehra...
dasht mein taqseem kaise hogaya wo mahjabeen
sar kahin tukde kahin hai aur sehra hai kahin
apne qasim ko bhala pehchane kis tarha farwa
al madad ya zehra...
berida binte ali hai bekafan ibne ali
shaam jaaye ya sambhale laash ko shabbir ki
kaampte honton pe ye fizza ke isteghasa tha
al madad ya zehra...
dasht mein aun o mohamed ki takallum thi sada
bhar na aaye maa ka dil laashe chupade ay hawa
ruk na jaaye ye qadam hai sakht imtehan maa ka
al madad ya zehra...