Kanz e Aza

Abbas Chale Aao

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Abdul Rauf Urooj. Lyrics in Roman Urdu.

abbas chale aao

akbar bhi nahi baakhi asghar bhi nahi baakhi

quran tha jis ghar may wo ghar bhi nahi baakhi

har tarha ke sadmon se betaab sakina hai

aa kar usay samjhao

abbas chale aao…


kano ki lawaen khenchi kano se gowhar tode

ya kaah-kashan todi ya shams-o-qamar tode

tode hai zamane may iqlaaq ke saanche bhi

maare hai tamache bhi bachi pa taras khao

abbas chale aao…


ye raat ye tareeki ye dasht ye sannata

lamho ke taghayyur ne sadiyon ka safar kaata

ye jalte hue qaime ghabrake na mar jaaye

masoom kidhar jaaye masoom ko samjhao

abbas chale aao…


kya aise bahadur ko dekha kabhi dunya ne

daaton se alam thaama baazu se katay shaane

sar giriya e wehshat may deewar se maaregi

ammu ko puka-regi ammu ko bula lao

abbas chale aao…


ek haul sa uth'ta hai is shaam e ghariban may

ek khauf sa dasta hai jangal may biyaban may

zanjeeer bapa bhai phuphi bhi rasan basta

phir band har ek rasta ab aur na tadpao

abbas chale aao…