kis sher ki aamad hai ke ran kaamp raha hai
ran ek taraf charkhe kohan kaamp raha hai
rustum ka badan zere kafan kaamp raha hai
har qasre salateene zaman kaamp raha hai
shamsheer bakaf dekh ke haider ke pisar ko
jibreel larazte hai sameinte huwe par ko
abbas e alamdaar abbas e alamdar
is shaan se islam ke parcham ko uthaya
sar de diya aur deene mohammad ko bachaya
kya maqsade shabbir ye tune hai bataya
ay sheh ke wafadar ay abbase alamdaar
abbas e alamdar...
hai sab se juda teri wafaon ka kharina
pani na piya tune taraayi ko to cheena
aankhon se juda kaise ho tasveere sakina
us se hai tujhko pyar ay abbase alamdaar
abbas e alamdar...
hai ashq fishan aaj bhi gham mein tere pani
ye mashk sakina ki alam teri nishani
rota hai jahan sun ke tere gham ki kahani
ay fauj ke sardar ay abbase alamdaar
abbas e alamdar...
hyder ki duaon ka sila hai mere abbas
zahra ne tujhe beta kaha hai mere abaas
har daur mein har dil ki sada hai mere abbas
zainab ke madadgaar ay abbase alamdaar
abbas e alamdar...
tum ko na pukarein to bhala kis ko pukarein
hai khushk bhatiji ka gala pyaas ke maare
roti hai sakina jo kabhi gham mein tumhare
haste thay sitamgaar ay abbase alamdaar
abbas e alamdar...
abbas ke laashe pe ye kehte rahe sarwar
rukhsat huwe beenayi jo ruksat huwe akbar
todi hai kamar gham ne tere meri baradar
ay fauj ke sardaar ay abbase alamdaar
abbas e alamdar...
karte hai dua ahmad o mohsin yehi paiham
haathon pe uthaye huwe abbas ka parcham
jayenge ziyarat ko teri karbobala hum
hum tere hai ghamkhaar ay abbase alamdaar
abbas e alamdar...