abbas chale aao abbas
kya chain se sotay ho darya ke kanare par
chod aaye sakina ko ho kiske sahare par
dar par hai khadi kabse lagaye huwe wo aas
abbas abbas chale aao abbas
hai yun to shahe deen ne maqtal ki raza de di
kis tarha uthayenge mayyat ali akbar ki
bhai ki zaeefi ka zara kuch karo ehsaas
abbas abbas chale aao abbas
shabbir ki nazron may tareek zamana hai
uljha hua barchi may akbar ka kaleja hai
hamshakle nabi ka bhi udoo ne na kiya paas
abbas abbas chale aao abbas
qaimon may rawan har soo ek aag ka darya hai
aur pusht pe zainab ki bemaar bhatija hai
aulaad e payambar ka udoo ne na kiya paas
abbas abbas chale aao abbas
kuch tumko khabar bhi hai kya ye hai pata tumko
khaati thi tamache aur deti thi sada tumko
durron se bujhayi gayi masoom ki jab pyaas
abbas abbas chale aao abbas
sunte hai ke zainab ke baazu may rasan hogi
darbar e sitam hoga sar nange behan hogi
aankhon se lahoo royenge sajjad basad yaas
abbas abbas chale aao abbas