abbas chale aao bachi na guzar jaaye
darwaza e zindan par ro ro ke na mar jaye
kano se lahoo payham shano pe tapakta hai
bibi ke tadapne par dil sab ka tadapta hai
zindan ke andhere mein bemaar kidhar jaye
abbas chale aao…
baazar se ho aayi darbar se ho aayi
ashoor ko jangal mein shabbir ko kho aayi
ab sirf yehi zid hai tum aao to ghar jaye
abbas chale aao…
aahat koi hoti hai seene se lagati hai
aaghosh mein bachi ko ghabra ke chupati hai
madar ko ye dhadka hai sote mein na darr jaye
abbas chale aao…
kaunain ki shahzadi hai khaak basar kab se
ik pal ko nahi soyi tum door gaye jab se
ghut ghut ke aseeri mein zainab hi na mar jaye
abbas chale aao…
kuch dayr ko laila ke shahzade ko le aao
aate huye godhi mein shish maah ko le aao
ukhda hua dam shayad ik pal ko thehar jaye
abbas chale aao…
itrat pe jo guzri hai waaqif hai jahan saara
shahid hai zameen saari shahid hai zamaan saara
ay kaash kisi surat sughra ko khabar jaye
abbas chale aao…