ghurbat ki ghadi ye aayi aankhon se chali beenayi
tum ghar se chale ho aise jaata hai janaza jaise
haye akbar haye akbar
akbar hame mar jaane do phir marne ko jaana
mujskil hai zaeefi mein jawan laash uthana
phir laut ke aayegi na maqtal se sawari
maa ko bada armaan tha shadi ka tumhari
taboot pe mumkin to nahi sehra sajana
akbar hame mar jaane...
qaime se zara door chalo ay mere dilbar
ye baat na sunle kahin zainab meri aakar
ay laal tera seena hai naizon ka nishana
akbar hame mar jaane...
maango na qaza mujhse tadapta hai mera dil
kismat ki lakeeron ka badalna nahi mushkil
hum umr badha denge zara haath dikhana
akbar hame mar jaane...
abbas ka marna hai meri maut ka aelaan
kuch rehm karo meri zaeefi pe meri jaan
aasaan nahi seene se barchi ka chudana
akbar hame mar jaane...
mazloom ki tooti hai kamar aas na todo
ay laal mere saamne yun haath na jodo
acha nahi lagta hamay har baar batana
akbar hame mar jaane...
naiza dil e naazuk mein utarta hua dekhun
mai zinda rahun aur tumhe marta hua dekhun
tum mein nazar aate hai hamesha mujhe nana
akbar hame mar jaane...
utho mere qadmon se ijazat tumhe denge
acha chalo hum baat agar maan bhi lenge
mushkil hai bohat saani e zahra ko manana
akbar hame mar jaane...
akbar gaye maqtal mein gire zeen se zameen par
laashe se takallum ye kaha sheh ne tadap kar
tehro abhi kuch dayr na ho khuld rawana
akbar hame mar jaane...