Abid ne kaha laash pe zainab ki yeh rokar aye Zainabe nashaad, Chalte hai mere dil pe ghamo dard ke qanjar aye Zainabe nashaad.
Takleef sahi tumne madine ko bhi chorda, muh mujhse bhi moda, Wallah mujhe bhool gayi shafqate madar aye Zainabe nashaad.
Allah ke nazdeek yeh rutba tha tumhara, khursheed na nikla, Quraan ke padhne me giri sar se jo chadar aye Zainabe nashaad.
Humrah jo thi ap mere dil ko thi quwwat aye madane ismat, Is qaid me ab dekhiye kya guzregi mujh par aye Zainabe nashaad.
Hai hai tumhe zakhmi kiya kambaqt shaqi ne, roka na kisi ne, Marne ko watan se tumhe laya tha muqaddar aye Zainabe nashaad.
Pardes me sar par tha mere apka saya, aye Saniye Zehra, Baba hai na Abbas na Qasim hai na Akbar aye Zainabe nashaad.
Jin bazuaon pe bosa Payambar ne diya tha wa hasrato darda, Bande gaye the woh rasane zulm se kas kar aye Zainabe nashaad...