boli ye binte murtuza abid udaas hai
koday na maar be-khata abid udaas hai
pahuncha jo shaam khaafla abid udaas hai
khush hai har ek be-haya abid udaas hai
boli ye binte murtaza...
ehsaan hoga kuch to karam kar aleel pe
tujhko khuda ka waasta abid udaas hai
boli ye binte murtaza...
dekhega kaise maa'on ka behno ka sar khula
tu is tarha na zulm dha abid udaas hai
boli ye binte murtaza...
quran suna raha hai juda tan se hoke bhi
naize pe sar hussain ka abid udaas hai
boli ye binte murtaza...
ye haalat e ruku may kaise safar kare
rakhegi kaise hausala abid udaas hai
boli ye binte murtaza...
abbas garche hota salamat ay shaamiyon
kehna na padta ba-khuda abid udaas hai
boli ye binte murtaza...
rassi se ghut na jaye sakina ka dam kahin
is fikr may har ek jaa abid udaas hai
boli ye binte murtaza...
darbar may najaf ye manadi ne di sada
aayi hai binte fatema abid udaas hai
boli ye binte murtaza...