Aaya jo karbala me mohd ka gharana , Ab hashr talak hoga yahi'n inka thikaana , 1) Kaise kahu ke badla hai yeh pal me zamaana , Hai ek dile Zahra kayi teero ka nishaana
Aaya jo karbala me mohd ka gharana
2) Paighaam yahi dete hai Ashaab e Hussaini , Jaa'n apni sada shaah ke qadmo'n me lutana
Aaya jo karbala me mohd ka gharana
3) Taaraaj hua kis tarah ahmad ka gharaana, Ashko se likha jaaega ye gham ka fasaana
Aaya jo karbala me mohd ka gharana
4) Halmin ki sada aaye agar karbobala se , Shabbir ki nusrat ko hai tayyar zamana
Aaya jo karbala me mohd ka gharana
5) Aankho se lahu rote hai yeh sonch ke moula , Ummat ke sitam aur hai zahra ka gharana
Aaya jo karbala me mohd ka gharana
6) Hai lashkare shabbir me hamshakle payamber , Hamraah Nawase ke hai yu'n dekhiye Nana
Aaya jo karbala me mohd ka gharana
7) Hum aake waha matamo zanjeer karenge , Aaqa hume ab karbobala jald bulana
Aaya jo karbala me mohd ka gharana
8) Jab tak rahu mai matame shabbir karunga , Hyder hai Azal se mera dil Taziya khana
Aaya jo karbala me mohd ka gharana