Kanz e Aza

Ab Koi Ghar Koi

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Mazhar Abidi. Lyrics in Roman Urdu.

ab koi ghar koi takiya na bichona hoga

aaj ke baad tujhe khaak pe sona hoga


baap ke seene pe sone ki tujhe aadat thi

ab muqaddar may tere hogi zameen maqtal ki

shiddate pyaas may ashkon ko hi peena hoga

aaj ke baad tujhe...

ab koi ghar koi...


ab sitamgaar ke taano pe guzar hoga tera

shimr e be-deen ke tamachon pe guzar hoga tera

odh ke qaid ke andhiyaron ko sona hoga

aaj ke baad tujhe...

ab koi ghar koi...


taziyano ki aziyat hi ghiza howegi

ek din saare aseeron se juda howegi

ek alag qaid ki tanhaai may rona hoga

aaj ke baad tujhe...

ab koi ghar koi...


koi aahat bhi sunegi to lagega aise

ek yateema ko bulaya ho padar ne jaise

chain aaram sukoon sab kuch hi khona hoga

aaj ke baad tujhe...

ab koi ghar koi...


loriyan maut sunayegi kabhi khauf tujhe

ek ek saans saza hogi meri furqat se

tujko ab chehra bhi ashkon se hi dhona hoga

aaj ke baad tujhe...

ab koi ghar koi...


gham ki badli may muqaddar ka sitara hoga

baba baba ki sada'on ka sahara hoga

sabr phupiyon ki tarha tujhko bhi karna hoga

aaj ke baad tujhe...

ab koi ghar koi...


shadman thi ye wasiyat hi shahe waala ki

jisko likhte huwe mazhar ki bandhi hai hichki

bas yehi keh ke chale rona hi rona hoga

aaj ke baad tujhe...

ab koi ghar koi...