Kanz e Aza

Ab Sakina Ko Kabhi

A noha for Shehzadi Sakina (s.a), written by Noor Ali. Lyrics in Roman Urdu.

khooon ke ashk yateemi usay rulwayegi

ab sakina ko kabhi neend nahi aayegi


khaak par aun o mohamed ko pada dekha hai

laashe abbas mein naizo ko gada dekha hai

sar ko baysheer ke bhi tan se juda dekha hai

baap ke seene ko teero se bhara dekha hai

ab sakina ko kabhi...


maa rasan basta hai aur qaid hai bhai bemaar

chain ab dil ko aayega na aayega qaraar

maarta jayega har gaam tamache badkaar

khaak par sar jo rakhegi to dukhenge rukhsaar

ab sakina ko kabhi...


maar kar durra tadapne bhi nahi dega layeen

khaake ghash khaak pe girne bhi nahi dega layeen

rona chahegi to rone bhi nahi dega layeen

need gar aayi to sone bhi nahi dega layeen

ab sakina ko kabhi...


gardan e shaah pe chalta hua khanjar dekha

is ne barchi se chida seena e akbar dekha

ek hi din mein ujadta hua sab ghar dekha

asr e ashoor ko zainab ka khula sar dekha

ab sakina ko kabhi...


jalte qaimon ka dhuaan aankhon mein baakhi hai abhi

chinte gauhar ki dukhan kaano mein baakhi hai abhi

tang rassi ki ghutan saanson mein baakhi hai abhi

phat'te chaalon ki jalaan pairon mein baakhi hai abhi

ab sakina ko kabhi...


pyaas peene ke liye bhook hai khaane ke liye

shimr badkaar hai hamraah sataane ke liye

aur be-rehm tamache hai rulaane ke liye

ye jo zinda hai to zindan mein jaane ke liye

ab sakina ko kabhi...


bhool payegi na ghazi ke kate shaano ko

bhool payegi na lut'te huwe armaano ko

bhool payegi na wo kufe ke ehwaano ko

bhoool payegi na wo shaam ke zindano ko

ab sakina ko kabhi...


neend usay noor ali aaye to kaise aaye

jis ko taqdeer ye ghurbat ki ghadi dikhlaye

gaam dar gaam jo pathar kabhi durre khaaye

nauha nasir ne padha dil se ye nikla haye

ab sakina ko kabhi...