ab sakina me nahi zabt ka yaara baba
paas apne mujhe bulwaaiye baba baba
hum ghareebo ka na tha puchne waala koi
aap ke baad hue zulm na kya kya baba
kabhi durra to kabhi maarke seli mujhko
yu dia shimr ne hai aapka pursa baba
aise zindaa'n me hu jisme nahi ek shamma naseeb
raat hoti hai to hota hai andhera baba
sehm jaati hu mai zaalim jo ghurakta hai mujhe
shimr hasta hai mujhe maarke durra baba
aapke sar ko dikhaake mujhe kehta hai yazeed
dekh aye baali sakina ye hai tera baba
kaash mar jaati to ye din mujhe hota na naseeb
dekhne reh gayi mai aapka sar kya baba
mai jo roti hu to kehta hai sitamgar qamosh
koun beti hai wo jisko nahi pyaara baba
raat bhar os barasti hai larazti hu mai
tan me mere hai phata ek yahi kurta baba