ay jaan o dil e hyder e karrar alamdar
zinda hai jahan mein tere aasar alamdar
mashk o alam ab bhi hai khoon baar alamdar
ab tak hai zabano pe alamdar alamdar
lehre abhi leta hai fiza mein tera parcham
parcham se numeina hai wafa ka teri aalam
bhulegi na dunya tera esaar alamdar
ab tak hai zabano pe...
darya e mohabbat mein rawan hai teri kashti
bache teri takhleed mein bante hai bahishti
zaahir hai sakina se jo tha pyaar alamdar
ab tak hai zabano pe...
darya pa raha yaad mohabbat ka kareena
wo pyaas mein do roz ki pani ka na peena
yaad aati hai ye manzil e dushwaar alamdar
ab tak hai zabano pe...
kya seena sipar mashke sakina ka raha tu
ek teer na aane diya jab tak rahe baazu
is shaan se chamki teri talwar alamdar
ab tak hai zabano pe...
tujhse hi sakina ko tha pani ka sahara
kya jaane ye kis dard se tha usne pukara
ay lashkare shabbir ke jarrar alamdar
ab tak hai zabano pe...
kis shaan se baba ka alam tune uthaya
himmat ne tujhe zinda e javed banaya
raas aaya hai kya mansabe karrar alamdar
ab tak hai zabano pe...
tevar pa fida tashna dahani pa tasadduq
millat ke jawan teri jawani pe tasadduq
sab teri mohabbat mein hai sarshaar alamdar
ab tak hai zabano pe...
sadiyon se hai kaandhe pa alam tera uthaye
haa ek nigahe lutf yadullah ke jaye
himmat hai dilon mein teri darkaar alamdar
ab tak hai zabano pe...