Kanz e Aza

Khuda ki Raah May

A noha written by Najm Afandi. Lyrics in Roman Urdu.

khuda ki raah mein kaar e numeinan aise hote hai

tah e khanjar kiye sajde musalman aise hote hai


wo pyari pyari shaklein dekh kar aale payambar ki

sitaron ne kaha ay chand insaan aise hote hai

khuda ki raah mein...


musafir ka tan e be-sar hai aur shab ka andhera hai

kisi ki laash par gaysu pareshan aise hote hai

khuda ki raah mein...


qadam par sheh ka dam nikla habeeb ibne mazahir ka

mohabbat ke wafa ke ahd o paiman aise hote hai

khuda ki raah mein...


khuda hi jaane dil se kya kaha hoga nigahon ne

sakina ko khabar kya thi ke zindan aise hote hai

khuda ki raah mein...


suna kar najm qissa karbala waale shaheedon ka

musalmano ko samjha do musalman aise hote hai

khuda ki raah mein...