suraj ka chehra utra hua hai
zainab ka bhai marne chala hai
maqtal may ghash hai shabbir tanha
qaatil khade hai khamosh yak jaa
hairat may gardoon sakte may sehra
saakit hai maujein saakit hai darya
suraj ka chehra...
mazloomiyat ki allah re haibat
sehme huwe hai ahle sakhawat
chaaya hua hai nafs e imaamat
bipri hui hai roohe jalaalat
dunya ka nakhsha badla hua hai
suraj ka chehra...
qaime may sab ki nazrein hai dar par
dum ruk gaye hai seeno ke andar
kya zapt gham hai allah o akbar
chup reh gayi hai asghar ki maadar
asghar ka jhoola tehra hua hai
suraj ka chehra...
mazloom shaklein ghamgeen nigahein
anmon amaa ki mazdood raahein
sukhe galon par bachon ki baahein
tham tham gayi hai honton pe aahein
jo hai wo gham ka maara hua hai
suraj ka chehra...
tar hai lahoo may sultaane aali
millat ka haakim ummat ka waali
dul dul ka ran may hai zeen khaali
qaime ki raunaq kis ne uthaali
masnad ka gosha ulta hua hai
suraj ka chehra...
lashkar kahan ab shaah e arab ka
haazir hai laasha har tashnalab ka
khaak e shifa par bistar hai sab ka
ek ek mujahid ashre ki shab ka
jaaga hua tha soya hua hai
suraj ka chehra...
teeron se zakhmi teghon se tukhde
soye huwe par jaage huwe se
chitwan ke khurban tewar ke sadqe
uthne ke jaise phir ho iraade
phir josh e nusrat aaya hua hai
suraj ka chehra...
roko qalam ko najm e sukhanwar
hai sarba sajda jaane payambar
nazdeek hai ab qaatil ka khanjar
dar par hai zainab majboor o muztar
qaime ka parda ulta hua hai
suraj ka chehra...