ab to seene pe mere sayega nanha asgher
asr-e-ashoor sakina se ye bole moula
ab to seene pe mere sayega nanha asgher
aaj se beti ye dastoor badal jayega
ab to seene pe mere sayega nanha asghera
qalb ki mere suku'n goud ki mere paali
baap ke seene pa har raat ko sone waali
aakhri baar mere seene pa hai sar tera
qatl hojayega kuch der mer tera baba
ashqiya aake jala daalenge khaima tera
khaak pa aye meri dukhtar tera bistar hoga
dhoondte hamko jo maqtal me chali aaogi
sar juda tan se mera laadli tum paaogi
hoga afsos bohat ham se juda hone ka
maa ke pehlu me agar neend na aaye tum ko
yaad baba ki jo reh reh ke sataye tum ko
khaak ko seena samajhkar ke mera sojana
imtehaa'n tumse mohabbat ka liya jayega aur zakhmo'n se dilasa bhi diya jayega par na hoga tumhe baba ka mayassar seena
tum yateemo'n ko nahi dega dilasa koi
aake rukhsaro'n pe maarega tamacha koi
maa phupi hogi magar hoga na baba tera
kal talak jispa tumhe chain mila karta tha
jiski goudi teri masnad bhi huwa karta tha
kuch hilamhou'n me wo reh jayega bankar lasha
tere kanou'n se layee'n chheenenge gohar bibi
sar se chhin jayegi har ek ki chadar bibi
us ghadi hoga tere sar pe na mera saaya
rehm ki karna na ummeed sitamgarou'n se
tere kaano'n ka lahu aayega rukhsaro'n pe
ujdegi asr ke hangaam me teri duniya
khoon me dooba huwa aaya hai dariya se alam
sogaya nehr kinaare mara saqqa-e-haram
uska kaata hai sitamgaar ne faizi shaana