Kanz e Aza

Ay Mere Kadiyal Jawan

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Noor Ali. Lyrics in Roman Urdu.

ay mere kadiyal jawan ay mere kadiyal jawan

ay pisar e naujawan ay pisar e naujawan


peet ke sar dasht mein nauha ye karti thi maa

ay mere kadiyal jawan ay mere kadiyal jawan


tu hi tha mera sukoon tujhse tha aabaad ghar

jaate hi tere mera hogaya barbaad ghar

dasht mein ab dhoondne tujhko mai jaaun kahan

ay mere kadiyal jawan...


tu tha kameini meri tu hi tha haasil mera

barchi lagi hai tujhe zakhmi hua dil mera

khoon mere dil se bhi hone laga hai rawan

ay mere kadiyal jawan


zulm ye kaisa hua haye sar e karbala

lut gaya asbaab sab chin gayi sar se rida

rota hai akbar tujha qaimon se uth'ta dhuwan

ay mere kadiyal jawan


ashk bahaungi mai khaak udaungi mai

roti rahungi sada sab ko rulaungi mai

hoga labon par mere nauha tera hi rawan

ay mere kadiyal jawan


ay mere noor e nazar kha gayi kis ki nazar

hogi bhala kis tarha umr meri ab basar

royegi akbar tujhe jayegi maadar jahan

ay mere kadiyal jawan


jab mein sunungi azan yaad teri aayegi

khon har ek gaam pe yaad ye rulwayegi

dil mera phat jayega jab mai sunungi azan

ay mere kadiyal jawan..


kis tarha ab laut ke jaungi mai karbala

kya kahun sughra ko mai itna tu maaa ko bata

gham tera sughra se mai kaise karungi bayan

ay mere kadiyal jawan...


godh ke paale mere paas bulaale mujhe

zulm o sitamgaar se aake bachaale mujhe

baandh rahe hai layeen shaano mein ab reesma

ay mere kadiyal jawan...


noor ali lab pe hai sab ke hi aah o buka

chaayi hai chaaron taraf ranj o alam ki ghata

nasir e zaidi kare kis tarha ye gham bayan

ay mere kadiyal jawan...