abbas e alamdar alam ooncha hai tera
ay sayyed o sardar alam ooncha hai tera
tu fatema zehra ki duaon ka sila hai
saqqayi ka mansab tujhe virse mein mila hai
pyason ke wafdaar alam ooncha hai tera
abbas e alamdar...
lehrata hai har ghar pe alam aaj bhi tera
hota hai ziyarat se hi momin ka savera
dil kehta hai har baar alam ooncha hai tera
abbas e alamdar...
deta hai mareezon ko shifa aaj bhi tu hi
mayoos dilon ki hai sada aaj bhi tu hi
hai dil mein tera pyaar alam ooncha hai tera
abbas e alamdar...
shabbir ke rauze se sada aati hai paiham
dekhun mai jidhar bhi nazar aaye tere parcham
ay fauj ke salaar alam ooncha hai tera
abbas e alamdar...
jo shaam e ghariban mein alamdar bani thi
kehti hai alam dekh ke tera wohi bibi
parde ke nigehdaar alam ooncha hai tera
abbas e alamdar...
safdar jo julooson mein alam maine uthaya
mazhar ki tarha naara yehi maine lagaya
ay sayyed e sardar alam ooncha hai tera
abbas e alamdar...