Kanz e Aza

Abbas Ay Shere Jawan

A noha for Moula Abbas (a.s), written by Rasheed Shaheedi. Lyrics in Roman Urdu.

ahle haram ke pasban abbas ay shere jawan


kehta tha zehra ka pisar thaame huwe tooti kamar

bhai mere tum so gaye ab kaun le meri khabar

dekho meri tanhaiyan abbas ay shere jawan

abbas ay shere jawan...


tum thay alamdar e jari lashkar ki tum se shaan thi

waqif thay tum is baat se tum se hai meri zindagi

koi nahi mera yahan abbas ay shere jawan

abbas ay shere jawan...


shaane tumhare kat gaye ghode se tum kaise giray

sar par laga gurz e sitam tum kis khadar zakhmi huwe

saare badan se khoon rawan abbas ay shere jawan

abbas ay shere jawan...


har gaam par thay hum safar har lamha thay seena sipar

ay tashnalab bhai mere choda mujhe kis mod par

har simt hai veeraniyan abbas ay shere jawan

abbas ay shere jawan...


jis simt jaati hai nazar khanjar hai aur teer o tabar

abbas kuch hi dayr mein kat jayega mera bhi sar

ab hai hamara imtehan abbas ay shere jawan

abbas ay shere jawan...


tum se tha har dil ko bharam thay mutmain ahle haram

ek tum juda kya ho gaye so jayegi fauje sitam

jaagegi saari bibiyan abbas ay shere jawan

abbas ay shere jawan...


ye hai sakina ki fughan aa jao ammu ho kahan

kaise usay samjhaun mai us se karun kya kya bayan

mar jayegi wo neem jaan abbas ay shere jawan

abbas ay shere jawan...


mashk e sakina chid gayi hasrat thi tujhko jang ki

koi bhi teri aarzoo bhai na poori ho saki

bechain teri hichkiyan abbas ay shere jawan

abbas ay shere jawan...


ay mere bhai ba-wafa allah ne tay kar liya

tere waseele se agar jo bhi kare dil se dua

bhar dega unki jholiyan abbas ay shere jawan

abbas ay shere jawan...


sheh ne kaha mere jari dil ki tadap hai ab yehi

maula kaha aaqa kaha ek baar kehdo bas aqi

dekho meri bechainiya abbas ay shere jawan

abbas ay shere jawan...


abbas ne bhai kaha bhai se bhai chut gaya

matam rasheed ab hota hai pyase jari abbas ka

girya kuna hai bibyan abbas ay shere jawan

abbas ay shere jawan...