aalam e arwah mein
apne rab se mohamed ne kaha
mera waada hai
mere allah tujhse waada hai
mera beta teen din ka bhooka pyasa
qalb zakhmi pusht zakhmi aur tanha
ghar apna tujh par lutayega
mera waada hai...
ambiya bhi dekhte hi royenge sab
sar katane is ke bete jayenge jab
har ek laasha uthayega
mera waada hai...
laash e qasim ki tarha dil hoga tukde
layega jab dasht se wo tukde dil ke
lahoo falak bhi bahayega
mera waada hai...
laasha e abbas e ghazi alqama par
jab chinegi bibiyon ke sar se chadar
wo sabr ko aazmeinega
mera waada hai...
mauj e darya mein bhi hoga ek talaatum
tashnagi se sabr ka hoga tasaddum
wo sabr hi fatha payega
mera waada hai...
karbala ki sar zameen ko khoon de kar
soyega jalti zameen par ye gule tar
lahoo mein apne nahayega
mera waada hai...
ye zamana aisa saabir to dikhaye
wo jo darya se bhi pyasa laut aaye
ye sabr bhi wo dikhayega
mera waada hai...
qabr asghar ki banayega akela
seena e akbar se barchi khaynchlega
janaze sab ke uthayega
mera waada hai...
karbala ki dhoop hogi aur laashe
aur qaimon mein haram honge tadapte
tasalli unko dilayega
mera waada hai...
jaisa zaahid aur abid mera beta
aisa qari aur ghazi kaun hoga
sina pe quran sunayega
mera waada hai...
apni shehzadi se mazhar ka hai waada
jab talak ek saans baaqi tan mein hoga
qalam ye rukne na payega
mera waada hai...