Kanz e Aza

Aale Nabi Pe Aada Yeh Zulm Dharahe Hai

A noha for Imam Hussain (a.s). Lyrics in Roman Urdu.

Aale Nabi Pe Aada Yeh Zulm Dharahe Hai

Sukhe Gaale Pe Sheh Ke Khanjar Chalarahe Hai

1.Padhte Hai Haq Ka Kalma Hai Naam Ke Musalman

Jo Run Me Shah-e-Deen Ke Dil Ku Dukharahe Hai


2.Akber Tadhap Rahe Hai Dil Par Seena Laagi Hai

Nazrou Me Hai Andhera Sheh Ladhkhada Rahe Hai


3.Karke Aadaye Shukar Mabood Run Me Sarwar

Peedhi Me Noujawan Ka Laasha Utharahe Hai


4.Soula Paher Ke Pyase Asghar Ku Karbala Me

Teer-e-Sitam Ka Zalim Paani Pilarahe Hai


5.Shabbir Dil Sambhale Aansu Baharehe Hai

Apne Pisar Ki Turbat Run Me Banarehe Hai


6.Zalim Yeh Jante Hain Hai Tashnalab Sakina

Paani Dikha Dikha Kar Phir Bhi Baharahe Hai