Kanz e Aza

Aankhein To Khol

A noha for Ali Akbar (a.s), written by Ahmed Naved. Lyrics in Roman Urdu.

maa keh rahi hai rakh kar

zaanu pe khoon bhara sar

aankhein to khol akbar

aankhein to khol akbar


pehchaan lo to jaano

surat hai kya hamari

aankhein to khol dekho

haalat hai kya hamari

maa keh rahi hai...

aankhein to khol...


sehre ki har ladi to

ashkon mein dhal gayi hai

mehendi ki thi jo hasrat

wo khoon mal gayi hai

maa keh rahi hai...

aankhein to khol...


sarhane dekho sughra

ka naamawar khada hai

dekho to gird beta

sab ghar ka ghar khada hai

maa keh rahi hai...

aankhein to khol...


khursheed sa ye chehra

sab khoon mein bhar gaya hai

dekho to maa ke dil mein

naiza utar gaya hai

maa keh rahi hai...

aankhein to khol...


lab par ye umme laila

ke hai naved naala

tum kya gaye gaya hai

ghar se mere ujaala

maa keh rahi hai...

aankhein to khol...