kufe ki shahzadiyan shaam ke bazaar may
zainab o kulsoom hai majma e mehkhaar may
jis tarha aale nabi be-rida ho kar gayi
is tarha koi na ho be-rida darbar may
har jaanib hai khaas o aam
zainab aur bazaar e shaam
be maqna be chadaar haye
fatema zahra ke gulbaar
nauha tha abid ke lab par
haye haye zainab haye haye shaam
aale rasool par ye kaisa maqaam aaya
chadar nahi hai sar par baazar e shaam aaya
aale rasool par ye kaisa maqaam aaya
haye haye zainab...
ghairat se sar jukaye saydaniyon ko le kar
tauq e garan may jakda chautha imam aaya
chadar nahi hai sar par baazar e shaam aaya
aale rasool par ye...
haye haye zainab...
sab bibiyon ke peeche ghairat se chup rahi thi
darbar e shaam may jab zainab ka naam aaya
chadar nahi hai sar par baazar e shaam aaya
aale rasool par ye...
haye haye zainab...
maa behne sar khule hai aur sar jukaye abid
ek imtehan dene baazar e shaam aaya
chadar nahi hai sar par baazar e shaam aaya
aale rasool par ye...
haye haye zainab...
bazaar e ashqiyan may ashk e aza bahata
durron pe durre khaata mera imam aaya
chadar nahi hai sar par baazar e shaam aaya
aale rasool par ye...
haye haye zainab...
yaad aayi wo sakina jo qaid hai musalsal
jab saamne hamare zindan e shaam aaya
chadar nahi hai sar par baazar e shaam aaya
aale rasool par ye...
haye haye zainab...
qaisar ka nauha kehna aur shadman ka padna
bakshish ke sa'aton may dono ke kaam aaya
chadar nahi hai sar par baazar e shaam aaya
aale rasool par ye...
haye haye zainab...